Detailed Description
Qur'an-e-majeed Allaah Ta'ala ki aakhiri kitaab hai jo har lihaaz se kaamil aur mukammal hai. ise seekhna aur doosron ko sikhaana behtareen ibaadat aur baa'is ajr-o-sawaab hai, farmaan-e-Nabwi ke mutaabiq Qur'an seekhne aur sikhaane waala afzal tareen shakhs hai. Bani nau-e-insaan ki taraqqi urooj aur rushd-o-falaah isi ki ittebaa' aur pairwi mein hai. isliye ise padhna aur iske mataalib-o-mafaaheem jaanna aur samjhna har zee shu'oor musalmaan par farz-o-laazim hai.
"Tafseer Ma'ani Al-Qur'an, parah 28" mein naujawaan nasal bilkhusoos talaba-o-taalibaat ko saadah aur aam faham andaaz mein Qur'an majeed ke ma'aani-o-mataalib samjhaane ki koshish ki gayi hai. box mein lafzi aur baa muhaawarah donon taraajim ka ehtemaam kiya gaya hai. surat ka ta'aaruf, sahih shaan-e-nuzool, maqaam-e-nuzool, wajh-e-tasmiyah, kalimaat, ruku aur huroof ki ta'daad aur mauzoo'aat ka tazkirah kiya gaya hai. surat ke ilaawah jin aayaat ki shaan-e-nuzool sahih ahaadees mein marwi hai, unka bhi zikr kiya gaya hai. ilmi masaa'il-o-mabaahis aur tafseeri baarikiyon se mafhoom ko uljhaane ki bajaaye aayaat se mustanabit masaa'il ko shah surkhiyon ke saath sahal aur aam faham andaaz mein bayaan kiya gaya hai. urdu muhaaware mein Qur'ani alfaaz ki alag se tarkeeb aur mushkil seghon ki sarafi-o-nahwi tahleel bhi ki gayi hai. tahqeeq-o-takhreej ka ehtemaam karne ke saath iss baat ki taraf khaas tawajjaw di gayi hai ke har tarah ki za'eef aur ghair mustanad rivaayaat se ijtenaab kiya jaaye aur Qur'ani aayaat ki wahi tafseer ki gayi hai jo Allaah aur uske Rasool ki matloob-o-maqsood aur aslaaf ki baseerat ki aakaas hai. Tafheem ke liye mauzu' ke e'tebaar se Qur'ani aayaat ko asbaaq mein taqseem kiya gaya hai aur har sabaq ke aakhir mein aayaat ki hikmat-o-baseerat aur maakhooz taqaazon ka tazkirah kiya gaya hai, neez sabaq mein mashq aur tamreen di gayi hai taake sabaq ka khulaasa aur zaroori ma'loomaat achchhi tarah zahan nasheen ho jaayein, iss e'tabaar se "Tafseer Ma'ani Al-Qur'an" khaalis islaami ta'leemaat se bahrawar hone aur khud ko islaam ke saanche mein dhaalne ka ek mustanad zari'ah hai aur yeh tafseer 2 colour mein "Para Set" ki surat mein tayyaar ki jaa rahi hai,